Ek daur tha jab Xiao Yan ko ek nakam shakhsiyat samjha jata tha, jiski Dou Qi, ek jadooi taqat, achanak gayab ho gayi thi. Jahan ek taraf uske hum-umar ladke behtareen Dou Qi me maharat hasil kar rahe thay, wahin Xiao Yan ki taqat mein kami a rahi thi. Har taraf se badnaami aur zillat ka samna karna pada. Par shayad yahi woh waqt tha jab uske andar ki aag aur bhi shiddat se bharki. Uski maa ke diy
e hue angoothi mein, Yao Lao ki rooh ko daryaft karne ke baad, uski zindagi ne ek naya mod liya. Yaochen ke rehnumayi mein, usne apni Dou Qi ko dobara hasil kiya aur uss takat ko la-mehdood bulandiyon tak pohanchaya.
Yeh kahani sirf ek haray hue larke ki jeet nahi, balki uske dil mein maujood woh jazba hai, jo har mushkil se takrana janta tha. Uska pehla maqsad, Nalan Yanran ko shikast dena tha, jisne shadi ka rishta tor kar uski zillat ki thi. Magar is safar ne usey aur bhi bade maidan-e-jung mein dhakel diya, jahan uske dushman Dou Qi ki dunya ke sabse taqatwar log thay. Uski pehli bari fatah Nalan Yanran ke khilaf thi, jahan usne apni nafrat aur himmat ka izhar kiya. Lekin asal imtehan to abhi baqi tha.
... See More