Yeh kahani shuru hoti hai 1971 ki Christmas Eve par, jab 17 saala Juliane Koepcke aur uski maa ne Peru mein LANSA flight 508 li. Unka plan tha apnay abbu se Christmas manane ke liye Pucallpa jana, jo jungle ke qareeb tha. Juliane ke parents zoologist thay aur woh jungle life se thori bohot waqif thi. Uski maa, Maria, aur woh aakhri seats lene mein kamyab ho gaye thay, lekin unhein kya pata tha ke
yeh safar unki zindagi ka aakhri safar ban jaye ga.
Flight aam tor par chal rahi thi, jab achanak mausam kharab ho gaya. Plane aik bhayanak thunderstorm mein dakhil hua. Bijli chamak rahi thi aur zor daar garaj thi. Juliane ne bataya ke uski maa ne us ka haath pakar liya aur kaha, "Bus, sab khatam ho gaya." Kuch hi lamhon mein, aik taiz bijli plane se takrai, aur plane hawa mein hi tukray tukray ho gaya.
Us chaos mein, Juliane ne mehsoos kiya ke woh apni seat par bandhi hui, hawa mein gir rahi thi. Uske 91 co-passengers, jismein uski maa bhi shamil thi, sab halak ho chuke thay. Woh akeli thi, hazaron foot ki bulandi se, Amazon ke ghane jungle ki taraf tezi se barh rahi thi. Us waqt uske paas na koi parachute tha, na koi umeed. Girte waqt hawa ka shor itna tha ke usay kuch sunai nahi de raha tha. Uska girna aik mojiza tha, jaisa ke usay baad mein pata chala, jungle ki canopy ne uski speed ko slow kar diya, aur woh zameen par gir kar behosh ho gai.
... See More