Pakistan mein shadi ki taqreebat kisi drama se kam nahi hotin. Yahan har function mein kuch na kuch aisa zaroor ho jata hai jo arse tak logon ko hansa hansa kar lot pot karta rehta hai. Shadi ka naam sunte hi zehan mein khane pe toot parte mehmaan, dulha dulhan ki sharmili muskurahat, aur un ki nok jhonk ka manzar ghoom jata hai. Lekin Pakistan mein shadiyon ke mauqe par aisi ajeeb o ghareeb aur m
azahiya baatein ho jati hain ke unhe bhulana mushkil ho jata hai. Hum bhi aaj aap ke sath kuch aise hi qabil e zikr kisse share karne ja rahe hain jo yaqeenan aap ke chehre par muskurahat le aayenge. Yeh post 4 hisson par mushtamil hai aur yeh pehla hissa hai.
Shadi ki Shopping: Jab Bargaining ne Had Paar Kar Di
Shadi se pehle shopping ki shopping ki sargardaniyan shuru hoti hain. Dulha aur dulhan ke gharwale shopping ke liye aik sath market jate hain. Aik chacha aur phuphi ke darmiyan hone wali takraar ka kissa hai. Dulhan ki chachi ne aik mehnge lehenge ki bargaining shuru ki aur us ne dukan wale ko itna pareshan kiya ke dukan wala apna sar pakar kar beth gaya. Isi doran, dulhe ki phuphi ne us lehenge ko sasta keh kar kharidne ki koshish ki. Chachi ne gusse mein kaha, “Aray, aap ka dimagh to theek hai na? Yeh 10,000 ka lehenga aap 5,000 mein kaise le sakti hain?” Phuphi ne jawab diya, “Aap ki nazar mein to har cheez mehengi hoti hai, is liye to aap ki beti ki shadi der se ho rahi hai.” Yeh sunte hi chachi ne bazaar mein tamasha khara kar diya aur phir dono ne aik dusre ko khare khote sunane shuru kar diye. Is kisse se poora bazaar behel utha.
... See More