Meri kahani us din shuru hui jab maine pehli baar mitti ko hath lagaya. Us waqt mujhe ye andaza nahi tha ke ye mitti meri zindagi ka sabse khoobsurat hissa ban jayegi. Mujhe bachpan se rang, naqsh aur design banana pasand tha. Main jab bhi clay ke khilone dekhti thi to dil karta tha ke ma khud kuch banaoon — kuch apni soch se, apni mehnat se.
Jab main school me thi, to art classes mere liye s
irf subject nahi balki sukoon ka zariya thi. Har roz main clay se kuch na kuch naya banati thi — kabhi chhoti si chidiya, kabhi chhota ghar, kabhi phool ya dil. Aksar log kehte the ke “ye sab time waste hai”, lekin mujhe lagta tha ke yehi meri pehchan hai.
Aage chal kar jab maine college join kiya, to maine apni art ko serious lena shuru kiya. Maine YouTube videos dekhe, online tutorials seekhe aur chhoti chhoti exhibitions me apne clay models dikhane lagi. Har model ke piche meri mehnat, meri lagan aur meri creative soch thi.
Clay art ek aisa fun hai jahan sabr sabse bari cheez hai. Har piece ko shape dene me waqt lagta hai, har line ko sahi karna ek nayi challenge hoti hai. Kabhi mitti zyada narmi dikhati hai to kabhi toot jati hai — lekin har galti ne mujhe kuch sikhaya. Mujhe samajh aaya ke art sirf hath se nahi, dil se banti hai.
Mujhe yaad hai ek baar maine apna pehla Clay Rose banaya tha. Teen din lag gaye the — pehle din design socha, doosre din shape diya aur teesre din color aur finish ki. Jab wo complete hua to mujhe laga jaise maine duniya ki sabse khubsurat cheez bana li ho. Us waqt maine decide kiya ke main “Meri Mehnat Clay Art” ke naam se apna ek brand shuru karungi.
Har roz nayi cheez seekhna, naye experiments karna aur apne kam se khushi hasil karna meri aadat ban gayi. Main chhoti chhoti clay sculptures banati, unhein online post karti aur logon ka feedback sunti. Kuch log tarif karte, kuch mashwara dete — dono se mujhe seekhne ka moka milta.
Yahan tak ka safar aasaan nahi tha. Clay kabhi toot jati, kabhi design kharab ho jata, lekin har mushkil ne mujhe aur mazboot banaya. Mujhe yakeen hai ke mehnat aur lagan se koi bhi fan kamil ban sakta hai.
... See More