Hazrat Usman bin Affan (R.A) ka naam Islami tareekh ka wo chamakta hua sitara hai jise "Zul-Nurain" ke laqab se bhi yaad kiya jata hai. Aap Nabi Kareem ﷺ ke wo azeem Sahabi thay jin ka maal, dil, aur zindagi Islam ke liye waqf thi. Magar kya aap jaante hain ke Usman (R.A) sirf ek Khalifa hi nahi balkay Islam ke sabse ameer aur sakhi Sahabi bhi thay?
🌿 Nasab aur Khandan
Hazrat Usman (R.A
) ka taluq Banu Umayyah ke mashhoor aur taqatwar khandan se tha. Aap ka nasab Hazrat Muhammad ﷺ se abd al-Manaf par ja milta hai. Yehi wo qabeela tha jahan se bade tajir aur quraish ke sardaar nikalay. Aap ke walid ka naam Affan bin Abi al-As tha aur walida ka naam Arwa bint Kurayz.
Us waqt Arab ka samajh baday tajir aur maal-o-dolat walay logon ko izzat ki nigaah se dekhta tha, aur Usman (R.A) ne bachpan se hi tijarat ka hunar seekha. Bachpan se aap me safai, haya aur sharafat ka pehlu numaya tha. Nabi ﷺ ne farmaya:
> "Har ummat ka sab se haya-daar shakhs hota hai, meri ummat ka haya-dar Usman hai."
(Tirmizi)
💼 Tijarat ka Safar
Hazrat Usman (R.A) ne jawani ke dor me tijarat shuru ki. Makkah ke bazaar me aap apni imandari aur wafadari ki wajah se mashhoor ho gaye. Aap ke tijarat ka usool ye tha ke logon ko dhoka na do, aur har maal me barakat Allah se chaho. Yehhi ikhlaq aap ko bohat si dolat aur izzat dene ka sabab bana.
Hazrat Usman (R.A) ne apni zindagi ke shuruati dor me hi millionaire ban kar Makkah me apna ek mukammal business network khada kar liya tha. Aap ke qafilay Makkah se Shaam, Yemen, aur Misr tak jate thay. Lekin jab Islam ka paigham Makkah me aaya, to aap ne baghair kisi fakar ke imaan la kar sab kuch Allah ke naam kar diya.
🌟 Islam qabool karna
Hazrat Abu Bakr Siddiq (R.A) ke zariye Hazrat Usman (R.A) ne Islam qabool kiya. Us waqt jab Islam lana maut ke barabar samjha jata tha, Usman (R.A) ne apne maal aur maqam ki parwah nahi ki. Aap ka ye qadam sirf ek aqeeda ka izhar nahi tha, balkay ye Islam ke liye ek nayi roshni ka aaghaz tha.
🤍 Hijrat aur Qurani Safar
Jab Musalmanon par zulm barhta gaya to Usman (R.A) ne apni pehli hijrat Habsha (Ethiopia) ki taraf ki. Aap un chand sahaba me se thay jinhe Islam ke liye apne ghar, maal aur mulk sab chhodna pada. Lekin Allah ne aap ke liye aur barakat likh di.
Hijrat ke bawajood aap ne tijarat ka silsila chhoda nahi, aur Islam ke pegham ko har jagah phailaya.
💎 Ameer hone ke bawajood Sakhaawat
Usman (R.A) ka maal sirf unka nahi tha, wo use Allah ke raaste me kharch karte rahe. Nabi ﷺ ne jab bhi kisi muhim ya jang ke liye madad maangi, Usman (R.A) sab se pehle uth kar apna maal pesh karte.
> Nabi ﷺ ne farmaya: “Usman ke baad koi amal usay nuqsan nahi pohcha sakta jo us ne aaj diya hai.”
(Tirmizi, Ghazwa e Tabuk ke waqt jab unho ne 1000 oont aur 100 ghode diye)
Yani Hazrat Usman (R.A) ne maal ko apna maqsood nahi, balkay deen ki khidmat ka zariya banaya. Yehi wajah thi ke aap duniya ke ameer tareen Sahabi hone ke bawajood duniya se be-niyaz thay.
---
... See More