THE MOST DANGEROUS MAFIA WAR HAS BEGUN GTA 5: QAYAMAT KA AGHAAZ
Los Santos, woh shehar jahan glamour aur crime saath saath chaltay hain, aaj phir aik nai musibat mein phans chuka tha. Yeh sub theek chal raha tha, jab tak The Vagos aur The Marabunta Grande ke darmiyan pichli sulah ek raat mein toot nahi gayi. Yeh sirf chote gangs ki larai nahi thi; yeh Los Santos ke underworld ki bunyadon ko hila
dene wali jang ka aghaaz tha.
Kahani shuru hoti hai Vespucci Beach se, jahan The Vagos ka naya leader, "El Diablo" (asli naam Juan Carlos), ne Marabunta Grande ke ek aham sathi ko sar-e-aam maar diya. Wajah sirf territory ka masla nahi tha, Vagos ke mutabiq Marabunta Grande ne un ke maal ki smuggling line interfere ki thi. Yeh sirf ek qatal nahi, yeh Marabunta Grande ke Don, Marco "The Hammer" Rodriguez, ko seedha challenge tha.
Michael De Santa, jo apni retirement life guzaar raha tha, in halaat se be-khabar tha. Us ka masla sirf us ki biwi Amanda aur beti Tracey theen. Lekin usay nahi pata tha ke yeh jung us ke darwazay tak aanay wali hai.
Trevor Philips, Blaine County mein apnay ajeeb o ghareeb karobar mein masroof tha, usay shehar ki choti moti gangs wars se koi sarokar nahi tha, jab tak us ka apna samaan khatray mein na paray.
Franklin Clinton, jo ab apni agency chala raha tha, samajhta tha kay woh in sab bakwaas se bahar nikal chuka hai. Lekin us ki purani zindagi us ka peecha nahi chhorti.
Pehla bara hamla Grove Street par hua, jahan The Families (Franklin ka purana gang) rehte thay. Vagos ne socha kay Families kamzor ho chukay hain aur Marabunta Grande un ki madad le saktay hain. Vagos ne Grove Street par dhaaba bol diya. Goliyon ki awazein goonj uthin, aur kai be-gunah log mare gaye.
Franklin ko jab pata chala, woh gusse se pagal ho gaya. Us ne Lamar Davis ko call ki.
"Lamar, yeh kya ho raha hai? Vagos ne Grove Street par hamla kiya hai?" Franklin ne cheekh kar poocha.
"Haan F, un haramiyon ne hadd paar kar di hai. Kai banday mar gaye," Lamar ne ghusse mein kaha.
"Michael aur
... See More