Fatah-e-Makkah Islam ki tareekh ka woh azeem aur roshan bab hai jahan talwar se zyada rehmat, inteqaam se zyada maafi, aur quwwat se zyada akhlaq ka izhar hua. Ye sirf ek shehar ki fatah nahi thi, balkeh dilon ki fatah thi.
Makkah wo muqaddas zameen thi jahan Rasool Allah ﷺ paida huay, lekin isi shehar mein aap par sab se zyada zulm bhi hua. Musalmanon ko maarna, bhookha rakhna, ghar chhorne pa
r majboor karna aur har tarah ki takleef dena — yeh sab Quraysh ka roz ka mamool ban chuka tha. Isi zulm ki wajah se Musalmanon ko Hijrat kar ke Madinah jana pada.
Madinah mein Islam ko quwwat mili, Musalman aik qaum ki soorat mein ubharay, lekin Makkah ka zakhm Rasool Allah ﷺ ke dil mein hamesha zinda raha. Phir bhi aap ﷺ ne kabhi inteqaam ki baat nahi ki. Aap ﷺ ka mission sirf aur sirf Allah ka paigham pohanchana tha.
Hijrat ke baad Sulah-e-Hudaibiya hui, jo zahiri taur par Musalmanon ke liye mushkil lag rahi thi, lekin asal mein yeh Islam ke liye aik azeem kamyabi thi. Is sulah ke zariye aman ka mahaul paida hua aur log be-khauf Islam ko samajhne lage. Lekin Quraysh ne is muahiday ki khuli khilaf warzi ki aur apne hi haath se Fatah-e-Makkah ka rasta khol diya.
Jab Quraysh ne Musalmanon ke dost qabail par hamla kiya, to yeh muahiday ki seedhi tor par khilaf warzi thi. Ab Musalmanon ke paas haq tha ke wo Makkah ki taraf barhein. Rasool Allah ﷺ ne tay kiya ke is safar mein khoon-kharaabi nahi honi chahiye.
10 Ramadan 8 Hijri ko Rasool Allah ﷺ ne taqreeban 10,000 Sahaba ke sath Madinah se Makkah ka safar shuru kiya. Yeh lashkar khamoshi, discipline aur iman ki misal tha. Raat ke waqt lashkar ne aag jalaayi, jise dekh kar Quraysh ke dil dehl gaye. Unhein ehsaas ho gaya ke ab Makkah Musalmanon ke qabze mein aane wala hai.
Is mauqe par Abu Sufyan Rasool Allah ﷺ ke paas aaye. Aap ﷺ ne unhein aman di aur yeh elan karwaya:
“Jo apne ghar mein rahe, wo mehfooz hai. Jo Masjid-e-Haram mein chala jaye, wo mehfooz hai. Jo Abu Sufyan ke ghar mein chala jaye, wo bhi mehfooz hai.”
Sochiye! Jis shehar ne Rasool Allah ﷺ ko nikal diya tha, aaj wahi Rasool ﷺ us shehar ke liye aam maafi ka elan kar rahe thay.
Jab Musalman Makkah mein daakhil huay, to kahin koi badi jang nahi hui. Sirf chand jaghon par choti jharrap hui, lekin Rasool Allah ﷺ ne sakhti se hidayat di ke kisi be-gunah ko nuqsan na pohanchaya jaye.
Rasool Allah ﷺ sar jhukaye, shukar ke jazbaat ke sath Makkah mein daakhil huay. Yeh ghuroor ka nahi, tawazu ka lamha tha. Kaaba ke gird maujood 360 buton ko gira diya gaya aur yeh ayat parhi gayi:
“Haq aa gaya aur batil mit gaya.”
Yahan se Islam ka naya daur shuru hota hai — lekin asal paigham abhi baqi hai…
... See More