Assalam-o-Alaikum, BTTH ke deewano! Aaj hum baat karein ge us episode ki jis ne sab ko hairan kar diya, yaani Episode 176. Yeh woh episode tha jahan hamare hero, Xiao Yan, ne sabit kiya ke woh koi mamooli Dou Zun nahi, balkay ab woh us level pe qadam rakh chuka hai jahan se dushmano ki neendein urr jaati hain. Ji haan, baat ho rahi hai Dou Sheng level ki power ki!
Pichle kuch episodes se hum dekh
rahe the ke Xiao Yan aur uski team Nine Serene Deep Ground Python tribe mein phansi hui thi, Yao Ming ko uske bhai Yao Xiaotian aur first elder ke zulm se bachane ke liye. Mahol kaafi garam tha aur jung ka samaan bana hua tha. Episode 176 ka start wahin se hota hai jahan pichla episode khatam hua tha – ek dhamakedar confrontation.
The Flame Tornado Aur Naya Dou Sheng
Episode ka aaghaz hi action se hota hai. Xiao Yan ne apni zabardast heavenly flames ka istemal karte hue ek aag ka tornado (bhanwar) paida kiya jis ne Nayi Alliance ke members ko jala kar raakh kar diya. Sirf Yao Gu You (first elder) aur us third Tianzun ke ilawa, baqi koi zinda nahi bacha.
Jab yeh flame tornado hatti hai aur Xiao Yan sab ke samne aata hai, toh sab ki aankhein khuli ki khuli reh jati hain. Xiao Yan ke dost, jaise ke Cai Lin, khush hote hain, lekin dushmanon ke chehron pe khauf aur hairangi saaf dikhti hai. Woh samajh jaate hain ke Xiao Yan ab Dou Zun level par nahi raha. Usne seedha Dou Sheng level par jump kar liya hai. Yeh woh karnama hai jo aaj tak kisi ne socha bhi nahi tha, karna toh door ki baat!
... See More