Battle Sage Xiao Yan Ka Safar: Genius Se Ultimate Dou Di Banne Tak (Part 1)
"Battle Through the Heavens" (BTTH) ki kahani Xiao Yan ke 3 saal tak talent kho dene se shuru hoti hai, jisne usay family mein "loser" bana diya tha. Is dauran uski engagement bhi toot jati hai, jo uske liye ek turning point tha. Phir usay apni maa ki ring se Yao Lao, ek powerful alchemist mentor, milta hai.
Yao Lao ki m
adad se, Xiao Yan ka safar dobara shuru hota hai. Uski training mein sab se khaas cheez Flame Mantra cultivation technique thi, jo usay different Heavenly Flames ko absorb aur merge karne ki ability deti hai. Is technique ki wajah se uski strength aam cultivators se bohot different aur risky thi, lekin usay ultimate power tak le gai.
Is pehle part mein hum Xiao Yan ki shuruati struggle, uski personality aur uske mentor Yao Lao ke role ko detail mein dekhein ge. Jab uski powers wapis aana shuru huien, uski self-confidence bhi barh gai. Woh andar se bohot focused aur determined tha, lekin bahar se calm rehta tha. Usne apnay dushmanon ko hamesha poori tarah khatam karne ka goal rakha, khaas kar Hall of Souls aur Hun Clan ko, jo uski family ki barbadi ke peechay thay.
Uska yeh safar sirf physical strength barhanay ka nahi tha, balkay character building ka bhi tha. Usne rastay mein kai dost aur allies banaye, jaise Queen Medusa/Cai Lin, Gu Xun'er, aur Little Fairy Doctor, jinhon ne uske safar mein important role play kiya.
... See More